Chal Diye Tum Kahan Pe Lyrics – AUR (अहद खान और उसामा अली, रफ़ी अनवर) द्वारा गाया गया “चल दिए तुम कहाँ पे लिरिक्स” फ़हाद मुस्तफ़ा और हानिया आमिर की विशेषता वाला एक सुपरहिट हिंदी गाना है। संगीत रफ़ी अनवर द्वारा रचित है, जबकि “चल दिए तुम कहाँ पे लिरिक्स” के बोल AUR (अहद खान और उसामा अली, रफ़ी अनवर) द्वारा लिखे गए हैं। कलाकारों के नाम खूबसूरती से गाने की भावनात्मक गहराई को दर्शाते हैं। ARY Digital YouTube चैनल पर विशेष रूप से “चल दिए तुम कहाँ” की गीतात्मक गहराई का पता लगाने के लिए बने रहें।
Chal Diye Tum Kahan Pe Lyrics
Chal diye tum kahan pe
Dekho yaha aake
Raaston mein hi dil
Kho raha hai
Chal diye tum kahaan pe
Dekho muskura ke
Aankhon mein hi dil
Kho raha hai
Ek umeed ek pyaar ki
Nazar mein kho gayi
Ek zindagi tha khaar ke
Qabr mein so gayi
Ek raat thi jo hisse mein
Aayi thi ab agar
Tum se mili to wo mujhse
Bekhabar si ho gayi
Ek umeed tujhse thi judi
Aur aaya tu nahin
Khwaab tha mera to fir
Mujhe jagaya kyon nahin
Itne gham jo mil rahe hain mujhko
Iski kya wajah hai
Maine to kabhi tumhara dil
Dukhaya bhi nahi
Dil dukhaya jab nahin hai to
Hai khud se kyon khafa
Uss umeed us pyaar ki
Nazar mein thi wafaa
Teri zindagi to so gayi par
Meri ro rahi hai
Meri raatein mujhse raazi hai par
Din hai bewafa
Ek umeed teri mujhse
Thi judi ye maan li
Jaagi khwaab se to
Haqeeqat ne meri jaan li
Tum mujhko to pukaaro
Sirf mera naam lo
Aao meri jaane bhaage
Mera haath thaam lo
Ke ab nahin hai waadon par yakeen
Tum bhi wo nahin ho aur hum bhi wo nahin
Ke kyon nahi hai teri wo hasi
Main to ro raha hoon tu to ro nahin
Chal diye tum kahan pe
Dekho yahaan aake
Raaston mein hi dil
Kho raha hai
Chal diye tum kahan pe
Dekho muskura ke
Aankhon mein hi dil
Kho raha hai
Kamron mein safe mere yeh
Faile hi rahenge
Khwaab aankhon mein bas
Tere hi rahenge
Tujhse dooriyan ho jitni bhi bhale
Hum tere hi the tere hi hain
Tere hi rahenge
Sawaal zindagi thi
Tum jawaab ho gaye ho
Dekhte hi dekhte
Tum khwaab ho gaye ho
Sochta tha bhool jaunga tujhe
Par bhool bhool ke
Tum meri yaad ho gaye ho
Kaash ke tum samajh pati
Mere pyaar ko
Dil ko apne faisle ka
Ikhtiyaar do
Agar tumhein kubool hai
Dil ki saudebaazi
Mera intezaar leke
Behisaab pyaar do
Aur do mujh par saari zimmedaariyaan
Utaar do tum kitabon mein kahaniya
Kis tarah se kat rahi hai
Mujh par kya guzar rahi hai
Tumne jaana hi nahin hai kabhi jaane ja
Ab tum yaad aa rahe ho
Behisaab aa rahe ho
Door hokar bhi tum
Mere paas aa rahe ho
Is qadar bhi berukhi
Koi karta hai bhala
Meri jaan ja rahi hai
Tum kahaan ja rahe ho
Dil toot sa gaya hai
Aankhen yaad kar rahi hain
Tasveeron se teri kab se
Baat kar rahi hai
Dhadkane bhi ab yahi pukarti hain
Aa jao aa jao
Chal diye tum kahaan pe
Dekho yahaan ke
Raaston mein hi dil
Kho raha hai
Chal diye tum kahaan pe
Dekho muskura ke
Aankhon mein hi dil
Kho raha hai